Lavs kehna chaahein tumse jo baat
Na keh paaye woh –
Chori chupe ikraar
Jaise har iraade mein ho.
Chup chup ke jab jab
Mujhe dekhte ho –
Har muskaan mein meri
Jaise tum muskurate ho.
Bas ek nazar tumhari
Mujhse mil jaaye jo –
Har ehsaas mein tum
Jaise asar kar rahe ho.
Dheere dheere hi sahi
Pyaar ho
Har pal pyaar banke tum
Jaise meri amanat bann gaye ho.
Dekhte hi dekhte na jaane
Tum mera jahan bann gaye ho –
Har hasi mein khayal
Jaise tumhare shaamil ho.
Dil ki baatein bayaan
Kar rahi hain ankhein jo –
Har zindagi ka wajood ab
Jaise tum bann gaye ho.
Na duur karma mujhe kabhi
Na toote aisa waada kar do –
Har mushkil ko tum
Jaise jeet banke, meri jeet bana do.
Ek din tumhe bin dekhe guzre
Na din aisa kabhi ho –
Har tasveer mein mujhe
Jaise sirf tum dikhaayi do.
Aasman se toot-ta taara
Dekh kar maange dil jo –
Har khwaish mein meri ab
Jaise tum hi tum ho.
© Sneha Kapoor. All Rights Reserved.
1 comment:
Hello ..
Appreciate the idea of finishing every para with "jaise"
Like the whole concept too, you r saying abt the importance of a person but angling with different perspectives--tough but you've smoothly done it.
Cheers!
Post a Comment